Total Pageviews

Saturday, 4 June 2011

kuch na karne me maza to hai
par aakhir ye maza hume kyu nahi aata

sachin kavi

Monday, 30 May 2011


MusicPlaylist
Music Playlist at MixPod.com

dil-e-nadaan

aye mere dil-e-nadan
bata teri hasrate kya hai
andar jo chupa rakha hai dard
karde use bayan
aakhir yu chupane ki vajah kya hai
pyaar me aksar log chot khaate hai
mohbbat me tutte hai dil aur fanah ho jaate hai
fir tu kis baat ka shok mana raha hai
aakhir teri bisaat kya
kya hua jo kisi ne thukra diya tujhe
mai hu tera sachcha saathi apna gam tu bata mujhe
bata ki aakhir tere marz ki dawa kya hai 
bata ki aakhir tujhe hua kya hai........

Sachin "KAVI"

tuta dil

jab dil toot ta hai to dard bahut hota hai
todne wala to todke chala jaata hai
par ye masoom dil barso tak rota hai
har baar bas kehta hai yehi
ki pyaar karna aakhir galat to nahi
fir kyu pyaar me har baar thokar mai khata hu
jeeta hu ghut-ghut ke
aur har baar tanah rah jaata hu
ehsaas-e-ishq mai kisko samjhau
pyaar ke ye nagme mai kisko sunau
yaha har koi pathar dil mere pyaar ka mazak
udaane ko tyaar hai
par kya karu har gam ko mai sah jaata hu
jaane kyu sab jaante huye bhi pyaar ke saagar 
me har baar bah jaata hu..........

Sachin "KAVI"

beeti baate

beeti baato ko dil me liye
aaj jo mai chala hu,
aisa lagta hai jaise waqt
bhi theher sa gaya hai
aankho me nami batati hai mujhe
ki use liye dil me aaj bhi pyaar hai
jab se wo gayi hai, muskurahat bhi gayab si ho 
gayi hai,
laakh chaha samjhana haal-e-dil apna use
shayad samajh kar bhi wo nasamajh ho gayi hai
shayad kami koi mujhme hi thi
isliye mere dil me pyaar hote huye bhi
wo mujhse dur chali gayi hai
ajab hai silsila ye jindagi ka
pyaar ko pyaar kabhi milta nahi
bas yaade de jaati hai har haseena
jakhmo ke roop me........


sachin "KAVI"

aansu

bewaqt ke aansu 
mujhe behad satate hai
na jaane kab kaha se aur
kyu kaise ye aate hai

jaha par rasam ho inki
waha girte nahi lekin
tumhare naam se girkar
tumhe badnaam karte hai

ajab sa haal hai inka
mujhe bhi to nahi maloom
jo aaye jikar bhi tera
kyu barsaat karte hai

ye aalam hai ki tujhko
dekh tak paati nahi jee bhar
uthau aankh jab bhi mai
to ye parda banate hai

chupana laakh mai chahu
zamane ki nigaaho se
dhalak kar gaal par ye 
khud mujhe hairan karte hai


sachin "KAVI"

pyaar ka ehsaas

jindagi me pyaar ka ehsaas na tha
jab tak mujhe tum se pyaar na tha,
pyaar ne mujhe bata diya tha ki
pyaar ka dusra naam dard hi tha
pyaar me tadap thi, pyaar me gam tha
pyaar me aansu aur nami bhi thi
mera pyaar bhi khushnuma hota 
agar use mere pyaar ka ehsaas
hua hota.
sachin "KAVI"

Sunday, 29 May 2011

mera pyaar

kya mera pyaar, pyaar nahi
kya mujhe kisi ko chahne ka adhikaar nahi
khojhta raha har mod par ek sachche dildar ko
mila nahi kahi koi
mujhe apnana pada hamesha hi haar ko
ehsaaso ko sanjoye chalta gaya mai pyaar ki chah me
ki kahi to koi milega is kathin rah me
fir ek mod par ek haseena se mulaqat ho gai
chalta gaya mai sang uske aur mohbbat ki
shuruaat ho gai
socha tha maine ki chalo is baar jindagi sambhal
jayegi
jaise chahunga mere aunurup hi dhal jayegi
par shayad kismat ko kuch aur hi manjur hai
pyaar abhi bhi mujhse koso dur hai koso dur hai
bahut dur hai


sachin "kavi"

ishq ki chahat

chahat me unki dube the is kadar
naa din kaa hosh tha naa raato ki thi khabar
mohabbat me unki ham yu kho gaye
pehle the kuch aur aaj kuch aur ho gaye
deewanapan ye apna kisko dikhaye
chahat ye apni kisko samjhaye
ab to andhere me bhi apni parchai se
baate kiya karte hai
ham ulfat ka jaam unki aankho se peeya
karte hai
ab aur kya kahu ae "kavi"
ham unki bewafai ko bhi wafa maan kar
jeeya karte hai


sachin "kavi"

haal-e-dil

haal dil ka ye ham bataye kisko
kaun rehta hai dil me mere ye dikhaye kisko
kya khoya aur kya paya nahi maine
yaade jiski rehti hai sada saath mere
aakhir bataye to bataye kisko
is chaar din ki jindagi me koi naa raas aya hamko
chaha jise bhi hamne har pal usi ne tadpaya hamko
ab to aalam ye hai "kavi"
na mar paa rahe hai naa jee paa rahe hai
bas deewano ki tarah ham sirf unko
chah rahe hai

sachin "kavi"

pyaar ka saawan

saawan k is mausam me aaj
dil me ek kasak si uth rahi hai
naa jaane kyu yaade unki
ek teer ki tarah dil me
chubh rahi hai
jitni bhi karu koshish unhe
bhulane ki
wo aur yaad aane lagti hai
gar dur jaana chahau yaado se unki
to wo aur paas aane lagti hai
seene me dard hai aur dil me ek
ehsaas hai
dur hokar bhi wo mere dil ke bahut paas hai
jaanta hu mai ki unse ab kabhi
mulaqat na ho sakegi
shayad ab unse kabhi pyaar ki
koi baat na ho sakegi
fir bhi na jaane kyu dil me pyar
ka ehsas hai
aaj bhi unke laut aane ki is
naadan dil ko ek aas hai


sachin "kavi"

pyaar ka saawan

saawan k is mausam me aaj
dil me ek kasak si uth rahi hai
naa jaane kyu yaade unki
ek teer ki tarah dil me
chubh rahi hai
jitni bhi karu koshish unhe
bhulane ki
wo aur yaad aane lagti hai
gar dur jaana chahau yaado se unki
to wo aur paas aane lagti hai
seene me dard hai aur dil me ek
ehsaas hai
dur hokar bhi wo mere dil ke bahut paas hai
jaanta hu mai ki unse ab kabhi
mulaqat na ho sakegi
shayad ab unse kabhi pyaar ki
koi baat na ho sakegi
fir bhi na jaane kyu dil me pyar
ka ehsas hai
aaj bhi unke laut aane ki is
naadan dil ko ek aas hai


sachin "kavi"

aakhir kya hai pyaar

"pyaar? kya hota hai pyaar?
kya hota hai jab dil ho jaata hai bekarar?
mai pagal in sab baato se anjana tha
apni hi duniya me mast, apni hi dhun me
deewana tha
fir jindagi me tum aa gai
aur saari khushiya mujh par chaa gai
wo bholi si surat tumhari
saadgi se bharpur pyari-pyari
dekha jab pehli baar tumhe armaan machal gaye
ab tak jo kaid the dil me wo hotho par aa gaye
wo muskurana tumhara dekh kar mujhko wo sharmana
tumhara
ehsas dil me aaj bhi hai wahi
kya kahu kis kadar chahta hu mai tumko
kavita k in chand akshro se bayan kar pana
shayad mumkin nahi"

sachin "KAVI"

saawan me milan pyaar ka

" Kabhi socha na tha jindagi me
aisa bhi hoga
Gammo ki baarish ke beech khushiyo ka
ek mauka bhi hoga
Jab har jagah dhoka hi dhoka
khayenge hum
to ek din pyar ka jhonka bhi hoga
Jab dekha aaj humne usko to
ek tasalli mili
jaise jindagi jeene ki ek
nayi umeed si mili
dekhna uska nafrat bhari nigaho se
ek baar mujhe
gazab dhaa gaya
na chahte hue bhi ek baar fir hume
us par pyaar aa gaya
wo to chali gayi deewana banake hume
aur aaj uske pyaar me mera apna dil bhi
mujhse begaana ho gaya"


sachin "kavi"

pyaar ki pehli mulakat

"Pyaar ki anjuman me tum khilta hua ek
"gulab" lagi
amavas ki kaali raat me chamakta hua ek chand lagi
pyari si do aankhe tumhari
jinme hai saagar ki gehrai
kahani saari baya karti hui si lagi
muskurahat ke aage tumhari khuda bhi jhuk gaya
mujhe to muskan tumhari hotho se chalakta hua jaam lagi
julfe tumhari kaali ghata si barasne ko tayar
pyaar ki mithi boondo ke saath lagi
chilchilati hui garmi ke mausam ke baad mujhe
tum saawan ki pehli barsaat lagi
dekh kar roop aisa tumhara
pyaar tumhara paane ko dil ke bheetar ek
pyaas jagi"


sachin kavi