Total Pageviews

Thursday, 7 November 2013

sukha gulab

Deepawali par ghar ki safai karte huye, ek prem patra aur ek sukha gulab mila, jinhe dekh kar kuch likhne ka dil kiya, aur apke saamne ye kavita prastut hai...

ke yaado me, teri yaad aaj bhi taazi hai,
is sukhe gulab ko dekh kar tu aaj bhi mujhe yaad aati hai,
wo bhi kya din the, alag hi jamana tha,
saath tera tha, pyaar ka tarana tha,
aaj bhi mai aksar un lamho me kho jaata hu,
geet pyaar ke yu hi gungunata hu,
tere likhe khato me teri surat aaj bhi nazar aati hai,
ke yaado me teri yaad aaj bhi taazi hai

na din guzarte hai, na tanha raate kaati jaati hai,
teri syaah aankhe aaj bhi hume tadpati hai,
teri tasveer se karta hu baate, gam apna mai use sunata hu,
kuch yu mai ab tere bina apna dil behlata hu,
hotho par mere tera naam aaj bhi baaki hai
yaado me, teri yaad aaj bhi taazi hai,

beet gaya wo haseen jamana, baat pyaar ki itihaas huyi,
jo kal tak dur na rah paati thi ek pal bhi mujhse, kitna dur mujhse aaj huyi,
par is gulab me teri saanso ki mehak aaj bhi aati hai,
ke yaado me teri yaad aaj bhi taazi hai
is sukhe gulab ko dekhkar tu aaj bhi mujhe yaad aati hai.......

sachin "kavi

No comments:

Post a Comment